Sunday, September 4, 2011

Imran's(Farhan Akhtar) poems in Zindagii Na Milegi Dobara













Jab jab dard ka baadal chaya (Poem 1)

Jab jab dard ka baadal chaya

Jab ghum ka saya lehraya

Jab aansoo palkon tak aya

Jab yeh tanha dil ghabraya

Humne dil ko yeh samjhaya

Dil aakhir tu kyun rota hai

Duniya mein yunhi hota hai

Yeh jo gehre sannate hain

Waqt ne sabko hi baante hain

Thoda ghum hai sabka qissa

Thodi dhoop hai sabka hissa

Aankh teri bekaar hi nam hai

Har pal ek naya mausam hai

Kyun tu aise pal khota hai

Dil aakhir tu kyun rota hai...

Yeh jaane kaisa raaz hai (Poem 2)

Ik baat honton tak hai jo aayi nahin

Bas ankhon say hai jhaankti

Tumse kabhi, mujhse kabhi

Kuch lafz hain woh maangti

Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh

Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh

Lekin jo yeh ik baat hai

Ahsas hi ahsas hai

Khushboo si hai jaise hawa mein tairti

Khushboo jo be-aawaaz hai

Jiska pata tumko bhi hai

Jiski khabar mujhko bhi hai

Duniya se bhi chupta nahin

Yeh jaane kaisa raaz hai...

Apne hone par mujhko yakeen aa gaya (Poem 3)

Pighle neelam sa behta ye sama,

Neeli neeli si khamoshiyan,

Na kahin hai zameen

Na kahin aasmaan,

Sarsaraati hui tehniyaan pattiyaan,

Keh raheen hai bas ek tum ho yahan,

Bas main hoon,

Meri saansein hain aur meri dhadkanein,

Aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan,

Aur main...Sirf main.

Apne hone par mujhko yakeen aa gaya.

Toh zinda ho tum (Poem 4)

Dilon mein tum apni

Betaabiyan leke chal rahe ho

Toh zinda ho tum

Nazar mein khwabon ki

Bijliyan leke chal rahe ho

Toh zinda ho tum

Hawa ke jhokon ke jaise

Aazad rehno sikho

Tum ek dariya ke jaise

Lehron mein behna sikho

Har ek lamhe se tum milo

Khole apni bhaayein

Har ek pal ek naya samha

Dekhen yeh nigahaein

Jo apni aankhon mein

Hairaniyan leke chal rahe ho

Toh zinda ho tum

Dilon mein tum apni

Betaabiyan leke chal rahe ho

Toh zinda ho tum.